☆ (Part
14): Ibrahim (Alaihay Salam)
•
Hazrat Ismaayeel (Alaihay Salam) Ke Qurbani Ke Niyat Ke Sabab Allah Ta’ala Ne
Ibrahim (Alaihay Salam) Ko Khalil-Ul-Llah Aur Ismaayeel (Alaihay Salam) Ko
Zabi-Ul-Laah Ka Khitaab (Laqab) Ata Kiyaa.
Aziz Dosto ,…… Ibrahim
(Alaihay Salam) Ko Shaitaan Iblees Ne Apni Aulaad Ki Qurbaani Dene Se Teen Baar
Rokna Chaaha Aur Teeno Baar Ibrahim (Alaihay Salam) Ne Us Mardood Ko Saat-Saat
Kankariya Maari, Aur Shaitaan Maayoos Ho Kar Gaayeb Ho Gaya. Ab Dono Baap-Bete
Aage Badhe, Ek Muqaam Par Pahoonch Kar Ismaayeel (Alaihay Salam) Ne Kahaa,
“Abba Jaan Aap Mere Haath Pair Baandh Dijiye Aur Mere Aankho Par Patti Bhi
Baandh Dijiye Taaki Jab Aap Mere Gale Par Churi Chalaaye To Main Aap Ko Na Dekh
Sakoo”.
*Ibrahim (Alaihay
Salam) Ne Aisa Hi Kiya Apne Bete Ke Haath Pair Baandhe Aur Aankho Par Patti
Baandhi Aur Apne Lakhte Jigar Ko Peshaani Ke Bal Leta Diya Aur Apni Aankho Par
Bhi Patti Baandh Li, Ke Kahee Aisa Na Ho Ki Jab Apne Lakhte Jigar Ke Gale Par
Churi Chalaawoo Aur Bete Ka Chehraa Aankho Ke Samne Ho To Ek Baap Ki Mohabbat
Allah Ta’ala Ke Huqm Ke Aage Rukaawat Na Ban Jaaye.
*Aaj Tak Sari
Qaayenaat Me Ibrahim (Alaihay Salam) Aur Ismaayeel (Alaihay Salam) Ki Aisi
Bemisaal Qurbaani Ki Misaal Nahi Milti, Waise To Kayee Misaale Hai Ki Baap Ne
Apni Aulaado Ko Allah Ta’ala Ki Raah Me Ya Jihaad Me Qurbaan Kiya, Lekin Yahaa
Maamla Hi Alag Hai Ek Baap Apne Dil Ke Tukde Ko Khud Apne Haatho Se Sirf Aur
Sirf Apne Rab Ki Raza Ke Liye Qurbaan Kar Rahaa Hai, Aur Qurbaan Jawoo
Ismaayeel (Alaihay Salam) Par Jo Ki Apne Rab Ki Raza Ke Liye Apne Hi Baap Ke
Haatho Qurbaan Hone Ke Liye Tayyar Hai.
*Aaj Kal Ki Aulaad
Apne Maa-Baap Ki Kitni Nafarmaan, Choti-Choti Baato Par Bhi Apne Maa-Baap Ko
Buraa-Bhala Kahene Se Baaz Nahi Aati. Allah Ta’ala Ham Sab Ko Apne Waalidain Ka
Farmabardaar Banaaye, Ameen !
Kyonki Allah Ta’ala Ne Qur’an Me Jis Jagaah Apni Ibaadat Ki Baat Kahee Hai Uske Baad Waaldain Ki Farmabardaari , Adab Aur Ahetaraam Ki Baat Bhi Kahi Hai. Yahaa Tak Kahaa Hai Ki Apne Waaldain Ko Uff Tak Na Kaho.

♥
Ibrahim (Alaihay Salam) Ko Khalil-Ul-Llah Ka Khitab Ata Kiya Gaya :
Ab Ibrahim (Alaihay Salam) Ne Jaise Hi Apne Lakhte Jigar Ke Gardan Par Churi Rakhi Aur Bismilaahe Allah-U-Akbar Keh Kar Churi (Knife) Chalaayee, Usi Waqt Allah Ta’ala Ke Huqm Se Jibrayeel (Alaihay Salam) Janant Se Ek Mendha (Bhedh, Sheep) Lekar Aaye Aur Ismaayeel (Alaihay Salam) Ko Hata Kar Unki Jagaah Uss Mendhe (Sheep) Ko Litaa Diya, Aur Is Tarhaa Ismaayeel (Alaihay Salam) Ki Jagaah Uss Mendhe Ki Qurbaani Ho Gayee. Jab Ibrahim (Alaihay Salam) Ne Apne Aankho Se Patti Hatayee To Kya Dekhte Hai Ki Ismaayeel (Alaihay Salam) Door Khade Ho Kar Muskura Rahe Hai Aur Unki Jagah Mendha (Dumbaa) Ki Qurbaani Ho Gayee Hai. Usi Waqt Allah Ta’ala Ne Gaib Se Puakaara Aur Kahaa, “Ibrahim (Alaihay Salam) Tum Ne Apne Khawaab Ko Such Kar Dikhaya, Main Tumhaari Qurbaani Se Raazi Huwaa Aur Aaj Se Tum Mere Khaleel (Dost) Ho”. Aur Is Tarhaa Allah Ta’ala Ne Ibrahim (Alaihay Salam) Ko Khalil-Ul-Llah Aur Ismaayeel (Alaihay Salam) Ko Zabi-Ul-Laah Ka Khitaab (Laqab) Diya.

*Dosto Ye Bahut Bada
Eajaaz (Izzat Afzaayee) Hai Jo Ibrahim (Alaihay Salam) Ko Mila. Allah Ta’ala Ne
Ibrahim (Alaihay Salam) Ko Tamaam Insaniyat Ka Imam Banaya. Yahood, Easaayee.
Makkah Ke Kaafir Aur Musalmaan Sab Inhe Apna Imaam Tasleem Karte Hai. Ye Muqaam
Inhe Aise Hi Nahi Mil Gaya Balki Aapki Puri Zindagi Hosh Sambhaalne Se Lekar
Marte Dam Tak Qurbaani Se Hi Bharpur Hai.
*Duniya Me Insaan Jin
Cheezo Se Mohabbat Karta Hai, In Me Se Koi Bhi Cheez Aisi Nahi Thi Jise Ibrahim
(Alaihay Salam) Ne Allah Ta’ala Ki Raah Me Qurbaan Na Kiya Ho. Jaise Waaldain,
Watan Aur Ghar Baar Chhorrna, Baadshah Namrood Ko Haq Ki Daawat Dena Aur Iske
Nateeze Me Aag Me Koodna, Biwi Haazraa Aur Doodh Pite Bachche Ko Allah Ta’ala
Ke Huqm Ke Mutaabiq Sunsaan Biyaabaan Registaan Me Chorrna, Aur Budhaape Ki
Umar Me Apne Noujawaan Bete Ismaayeel (Alaihay Salam) Ko Allah Ta’ala Ki Raah
Me Qurbaani Karne Par Amli Tour Par Aamaada Hona, Aur Apne Waqt Ki Har Taagooti
Ya Shaitaani Taqato Se Muqaabla Karna Chaahe Wo Badshah Ho Ya Unki Apni Kaafir
Qoum ….
*Bhaiyon Aur Behno ,….Allah Ta’ala Ne Ibrahim (Alaihay Salam) Ki
Qurbaani Qabool Ki Aur Unhe Apna Khalil (Dost) Banaaya. Allah Ta’ala Ko Ibrahim
(Alaihay Salam) Ki Ye Adaa (Tarika Ya Sunnat) Itni Pasand Aayee Ke Allah Ta’ala
Ne Unke Is Amal Ko Tamam Ummat-e-Mohammedi Par Farz Qarar Diya. Lekin Mera
Rab Bada Rahem Karne Wala Hai Aur Apne Bando Se Bepanaah Mohabbat Karne Wala
Hai, Isiliye Ye Amal Sirf Un Par Farz Kiya Gayaa Jo Saahibe Istita’at Ho Ya
Iski Quwat Rakhta Ho. Aur Iss Din Ko Ham Muslamaan Eid-Ul-Azhaa Ya Badi Eid Ya
Bakra Eid Ya Qurbani Eid Ki Shaqal Me Manaate Hai. Darasal Ham Ibrahim (Alaihay
Salam) Ki Sunnat Hi Adaa Karte Hai.
♥
Khaana-e-Kabaa Ki Tameer :
Ab Allah Ta’ala Ne Ibrahim (Alaihay Salam) Ko Khaana-e-Kabaa Ki Tameer Karne Ka Huqum Diya.
Riwaayato Me Hai Ki Khaana Kaabaa Das (10) Baar Taameer Kiya (Banaaya) Gaya.
1) Sabse Pahele Ise Farishto Ne Taameer Kiya. 2) Dusri Baar Aadam (Alaihay Salam) Ne Taameer Kiya. 3) Teesri Baar Shees (Alaihay Salam) Jo Ki Aadam (Alaihay Salam) Ke Bete The, Unhone Taameer Kiya. 4) Chouthi Baar Ibrahim (Alaihay Salam) Ne. 5) Paanchavi Baar Qaum Aamalqah Ne. 6) Chatvi Baar Qabeela Jarham Ne. 7) Saatvi Baar Qasa Bin Kalaab (Jo Ki Aap Hazrat Mohammed Sallallahu Alaihay Wasallam Ke Aaba-O-Ajdaad (Purkhe Ya Purvaz The). 8 ) Aathvi Baar Kabeela Quraish Ne Aap Mohammed Sallallahu Alaihay Wasallam Ki Hayaate Tayeyaba Me Aap Ke Naboowat Ke Ailaan Ke Pahele. 9) Navvi Baar Abdullah Ibn Zubair (Apni Dour-e-Khilaafat Me). Aur 10) Dasvi Baar Hajjaj Ibn Yusuf Ne.
– (Hashiya-11 Jalaleen Safa No-281,Hashiya-4,Bukhari Safa No-215)

Salam) Aur Unke Baad Ki Taameeer Taarikh (Itihaas, Hishtory) Me Mahefooz Hai.
Lekin Ibrahim (Alaihay Salam) Se Pahle Ki Taameer Ki Koi Dalil Ya Record
Moujood Nahi Hai. Nooh (Alaihay Salam) Ke Zamaane Me Jo Toofaan Ya Sailaab Aaya
Tha, Uss Se Khaana-e-Kaabaa Ko Bhi Nuksaan Pahooncha Tha. Gaalban Ye Us Toofaan
Ke Baad Ibrahim (Alaihay Salam) Ke Haatho Paheli Baar Taameer Thi. Kyonki Allah
Ta’ala Qur’an Majeed Me Farmaata Hai Ki, “Jab Ibrahim (Alaihay Salam)
Khana-e-Kaaba Ki Neev (Foundation, Buniyaad) Utha Rahe The Aur Apne Rab Se
Duwaa Kar Rahe The” .
Is Ka Matlab Ye Hi Hai
Ki Khaana-e-Kaabaa Ki Neev (Foundation) Wahaa Pahele Hi Se Hi Moujood Thi.
Riwaayato Me Hai Ki Ek Patthar Jannat Se Aaya Tha Jis Par Khade Ho Kar Ibrahim
(Alaihay Salam) Ne Ismaayeel (Alaihay Salam) Ke Saath Khaana-e-Kaaba Ki Taameer
Ki, Us Paththar Ki Khasiyat Ye Thi Ki Wo Ibrahim (Alaihay Salam) Ki Zaroorat Ke
Hisaab Se Khud Chota Ya Badaa Ho Jaata Tha, Yahaa Tak Ki Uss Paththar Ko Huqm
Dene Ki Zaroorat Bhi Nahi Padhti Thi.
*Ibrahim (Alaihay
Salam) Aur Ismaayeel (Alaihay Salam) Bait-Ul-Llah (Khaana Kaaba) Ki Buniyaade
Uthaa Rahe The Aur Saath Hi Ye Duwaa Kar Rahe The, “Aye Hamaare Rab Hamaari Is
Khidmat Ko Qabool Farmaa, Beshaq Tu Hi Sab Ki Sunne Wala Aur Sab Kuch Janne
Wala Hai. Aye Hamaare Rab Ham Dono Ko Apna Farmaabardaar Bana, Aur Hamaari
Aulaad Me Se Apni Ek Muslim Jamaat Bana, Hame Apni Ibaadat Ke Tarike Bataa Aur
Hamaari Toubaa Qabool Farmaa, Beshaq Tu Bada Toubaa Qabool Karne Wala Aur
Nihaayat Rahem Karne Wala Hai. Aye Hamaare Rab Inme Woh Aakhiri Rasool Bhi
Bhej, Jo Inhi Me Se Ho, Woh In Par Teri Aayaat Ki Tilaawat Kare, Inhe Kitaab
Aur Hiqmat Ki Ta’alim De, Aur Inko Paakeezah Banaaye, Beshaq Tu Galeeb Aur
Hiqmat Wala Hai”.
♥ Mahfum-e-Hadees: Rasool-e-Kareem (Sallallahu Alaihay
Wasallam) Ne Farmaaya Ki –
“Main Ibrahim (Alaihay Salam) Ki Dua Hoon”..
Aur Allah Ta’ala Ne Ibrahim (Alaihay Salam) Ki Ye Duwaa Qabool Farmaayee Aur Aulaad Ismaayeel (Alaihay Salam) Se Nabi Aakhir-Uz-Zamaa Mabwoos (Paida) Huve.. – (Miskhat Sharif).

No comments:
Post a Comment